Monday, 19 November 2018

Guzara hua waqt...

guzarein hue waqt ko meine bade sambhal ke rakha hain,
kisi locker mein nahi, kisi tahkhane mein nhi...
jo bhi hain bas, dil mein daba ke rakha hain...

kuch kahaniya hain dosto ki, kuch adhure ishq ke kisse hain...
tutte hue armano ke bache hue kuch hisse hain...

thode gam, thode hasi, thodi koshish, thodi  mehnat, thodi haar, thodi jeet...
sabko ek sath rakha hain...

meine guzre hue waqt ko bade sambhal ke rakha hain...

apno se bichdane ka, aur naye rishtey banane ka...
sab hisab rakha hain...
har waqt, har pal ka ehsaae rakha hain..
meine guzre hue waqt ko bade sambhal ke rakha hain...

yeh guzarein hue pal mere aaj ko sawarte hain.. purane hain.. magar kaam bahut aate hain..

hota hoo jab bhi mein magroor kabhi, deta yeh yaad dila mujhe bure waqt ki tabhi....
hota hoo jab kisi haar se dukhi... dekta hoo mein purani jeet khushi...
chalna, ladna, girna, sambhalna, aur fir aage badna...
chota bada har nuksa chupa ke rakha hain,
har galti, har sabak ko mila rakha hain..
guzarein hue waqt ko bade sambhal ke rakha hain....






Thursday, 5 November 2015

random

Hazaron alfazon mein bhi woh baat na kah payen hum...
Jo 2 pal ki khamoshi ne biyan kar di..
Yu toh saikado log maujud they waha par...
Lekin mere dil ki baat sirf ussi ne samjhi...

Thursday, 25 December 2014

Himmat Bhari Ek Koshish....

Chalo Aaj Hum Himmat Bhari Ek Koshish Karte Hain...
Toote Hue Rishto Ki Marammat Karte Hain...

Bahut Kia Intezaar Unke Do Kadam Chalne Kaa...
Chalo Aaj Hum Hi Ek Pahal Karte Hain....
Bhuj Gaye Hain Jo Diye Unhe Firse Roshan Karte Hain...

Na Jane Kaise Ek Ek Karke Sab Purane Dost Chale Gaye...
Nai Rahein Milti Gayi... Aur Kadmo Ke Nishan Mit Gaye...
Chalo Aaj Purane Rasto Ki Khak Chante Hain...
Tooti Hui Doriyon Mein Ganth Bante Hain...
  
Kyun Na Aaj Sare Ego Aur Ahankar Ko Darkinar Karte Hain..
Mil Jana Hain Isse Matti Mein Sabko Ek Din,  Is Baat Ko Yaad Karte Hain..

Na Jaane Kaun Kis Baat Par Meri Rooth Gaya Hain Mhujse,
Aaj Unse Hum Hath Jod Kar Mafi Mangte Hain...

Chalo Aaj Toote Hue Rishton Ki Marammat Karte Hain....
Ek Himmat Bhari Koshish Dilse Karte Hain...

By:-
Ankush Jain

Monday, 15 September 2014

Kitna Badal Gaya hoo mein...


In Samajik Sukh Dukh Mein Ulhaj Gaya Ho Mein...
Insaan Ho Insaaniyat Se Juda Ho Gaya Hoo Mein...

Ache Bure Ka Antar Shamajhane Laga Hoo Mein...
Kuch Meethi Meethi Nadaniyon Se Bichad Gaya Hoo Mein...

Pyar Ka Dusra Naam Jarurat Shamaj Betha Hoo Mein...
Isse Wajah Se Apno Ko Kho Betha Hoo Mein...

Ek Zamana Tha Jab Mandiro Mein Sir Jhukane Jaya Karta Tha Mein...
Aaj Usse Bhagwan Se Saudebazi Mein Pad Gaya Hoo Mein...

Zindagi Ke Ek Shikhar Par Pahuch Gaya Hoo Mein..
Naye Zamane Mein Tez Raftaar Se Daud Raha Hoo Mein...
Kabhi Ungali Pakad Ke Chalna Sikhaya Tha Jinohe Ne Mujhe..
Aaj Unhi Se Dur Ho Gaya Hoo Mein...

Kaise Samjhau Khud Ko Ki Kitna Badal Gaya Hoo Mein..
Insaan Ho Insaniyaat Se Juda Ho Gaya Hoo Mein..

Wednesday, 18 December 2013

Ek aur padav...

Meri Hi Ankhon Ke Samne Zindagi Bhikri Jaa Rhi Hain Meri..
Aur Mein Beete Lambhon Ko Batorne Mein Laga Hua Ab Tak...
Toot Rahe Hain Mere Sapne, Armaan Har Pal... 
Kho Rha Hain Wajood Mere Apne Hi Ghar Par... 

Patli Se Lakir Thi Vishwas Ki Jo Hil Chuki Hain...
Ek Dor Thi Jo Pyar Ki Jyada Kheench Chuki Hain...Kuch Fazool Ki Koshishein Kar Rha Hoo Mein.. 
Pathar Ko Samjhane Ki Koshish Mein Laga Hua Hoo Mein...



Ankhon Par Bandh Ke Bethe Hain Patti Woh Aaj ...
Dekh Nhi Paa Rahe Hain.. Kia Sahi Hain Kia Kharab..
Shamajh Nhi Aa Raha Hain Unko, Kaun Unke Apne Hain..
Aur Kaun Unki Khushi Se Jalte Hain...

Tanav Ban Chuka, Dil Ke Darmiya Tha Jo Pyar..
Ajeeb Sa Khel Hai Yeh.. Jisme Jeetenge Toh Dono...

Ya Fir Dono Jayenge Haar....

Guzara hua waqt...

guzarein hue waqt ko meine bade sambhal ke rakha hain, kisi locker mein nahi, kisi tahkhane mein nhi... jo bhi hain bas, dil mein daba ke...