Wednesday 18 December 2013

Ek aur padav...

Meri Hi Ankhon Ke Samne Zindagi Bhikri Jaa Rhi Hain Meri..
Aur Mein Beete Lambhon Ko Batorne Mein Laga Hua Ab Tak...
Toot Rahe Hain Mere Sapne, Armaan Har Pal... 
Kho Rha Hain Wajood Mere Apne Hi Ghar Par... 

Patli Se Lakir Thi Vishwas Ki Jo Hil Chuki Hain...
Ek Dor Thi Jo Pyar Ki Jyada Kheench Chuki Hain...Kuch Fazool Ki Koshishein Kar Rha Hoo Mein.. 
Pathar Ko Samjhane Ki Koshish Mein Laga Hua Hoo Mein...



Ankhon Par Bandh Ke Bethe Hain Patti Woh Aaj ...
Dekh Nhi Paa Rahe Hain.. Kia Sahi Hain Kia Kharab..
Shamajh Nhi Aa Raha Hain Unko, Kaun Unke Apne Hain..
Aur Kaun Unki Khushi Se Jalte Hain...

Tanav Ban Chuka, Dil Ke Darmiya Tha Jo Pyar..
Ajeeb Sa Khel Hai Yeh.. Jisme Jeetenge Toh Dono...

Ya Fir Dono Jayenge Haar....

Saturday 4 May 2013

Ek adhuri gazal...


Chupi Rah Jati Hain Is Dil Mein Batein Hazaroo,
Koshish Karne Par Bhi Zuban Par Nhi Aati..
Ulhaj Jatein Hain Uljhano Mein Mere Shabd,
Ek Gazal Hain Ki Ban Hi Nhi Pati...

Likhta Ho Jiske Barein Mein,
Vo Hamesha Khawbein Mein Rehti...
Haseen Hain Vo Haseena Itni Ki,
Shabdo Mein Utar Hi Nhi Pati...

Mere Khayal Ban Gaye,
Mohtaj Uski Adaon Ke...
Aur Woh Kambhakt Har Baat Par Ek Ada Hain De Jati .

Jaise Bani Hain Shahi Kagaz Se Milne Ke Lie,
Kalam To Sirf Ek Sahara Hain
Rishta Uske Mera Bhi Kuch Is Kadar Hi Hain,
Likhna Gazal Uss Par Bas Ek Bahana Hain...

Thursday 11 April 2013

Khoobsurat Itefaq


Sanjoi They Jo Sapne Asmaan Mein Barso Se …
Teri Ankhon Mein Unka Ek Aagaz Hua…
Andher Si Zindagi Mein Roshan Ek Chirag Hua…

Dhundla Se Chehra Tha Ajeeb Se Parchai Thi…
Dekha Tumhe Toh Sab Kuch Sheese Sa Saaf Hua..

Fiki Fiki Se Thi Saanse Meri..
Tumhari Sanson Se Mili Toh Ek Meetha Sa Ehsaas Hua…

Patharon Ki Chamak Se Gumrah Tha Mein Ab Tak..
Hira Kia Hota Hain Iska Andaaz Hua…

Chal Rha Tha Jeevan Mera Machine Ki Tarah …
Zindagi Kia Hoti Hain Iska Abhaas Hua…
Milna Tumse Ek Khoobsurat Itefaq Hua…

Guzara hua waqt...

guzarein hue waqt ko meine bade sambhal ke rakha hain, kisi locker mein nahi, kisi tahkhane mein nhi... jo bhi hain bas, dil mein daba ke...