Thursday, 26 July 2012

Nostalgia....


Talashti Hui Nazar Meri, Ruk Jati Hain Bachpan Ki Yadon Mein...
Bhagna Galio Mein Vo Chadna Diwaro Pe...
Khelna Dosto Ke Sath, Aur Jhagdna Choti Choti Baton Pe..

School Mein Jana, Dosto Se Milana
Bethna Last Bench Par Aur Kisse Sunana...
Pakade Jaye Toh Bahane Banana
Punishment Mile Toh Bhi Muskarana
Dosto Ke Sath Class Se Bahar Nikal Jana
Bahar Jaakar Masti Karna..
Teacher Aaye Toh Shant Ho Jana...

Cycle Chalana, Race Lagana,
Sadko Par Stunts Dikhana...
Dosto Ko Satana, Ruth Jaye Toh Manana...
Ghanti Bajne Se Pehle Hi Class Se Nikal Jana..
Fir Sidha Ice Cream Ke Thelo Par Toot Jana

Exam Aajane Par Chuttia Marna
Aur Ek Raat Mein Sab Yaad Kar Lena..
Examination Hall Mein Beth Kar Dosto Se Poochna..
Bahar Aakar Answer Milana

Kia Din They Vo Aur Kia Dost They...
Muskra Dete Hain Hum Aaj Unhe Soch Ke..

Monday, 23 July 2012

A glance of life...


Mera Jeevan Gujara Aise, Jaise Baras Mein Mausam Char...
Patjhad Baad Saavan Dekha, Sardi Baad Tapas Mein Jhulsa...
Aanewale Pal Ke Intezaar Mein.. Bewajah Mein Aaj Mein Uljha..
Badalte Gayi Rah Safar Mein.. Aur Mein Logo Mein Uljha

Jo Ayega Ab Woh Acha Hain, Jo Beet Gaya Woh Sacha Hain..
In Baton Mein Beeta Jeevan.. Aaj Ko Meine Aise Khoya...
Ankhon Mein Sapne Bhar Kar.. Neend Mein Bhi Na Mein Soya...
Kaise Hoga Kal Behtar Bas Har Pal Yehi Hain Socha...

Mera Jeevan Bas Aise Gujra...

Friday, 6 July 2012

hindi shayari II

किसी के इंतज़ार में कभी सदियाँ गुजरती हैं ...
मुलाकात उनसे भी एक इत्तेफाक होती हैं 
करीब रहते हैं वो हमेशा खुदा की तरह...
पहचानना उनको एक मुश्किलात होती हैं....

दस्तक देती नही  हैं मोहब्बत होने से पहले...
होजाये जो एक बार फिर...होश में आने की भी फुर्सत नही रहती..
जो कभी अजनबी होते हैं,
मोहब्बत में उनके बिना रहना की आदत नही रहती






Sunday, 3 June 2012

Ek Umang


Ek Umang Ki Kiran Jhalkegi Toh...Ek Chingari Chamkegi Toh...

Sagar Bhi Gahera Na Hoga.. Asmaan Bhi Ucha Na Hoga...

Lakshya Pe Jo Rahe Nazar Jivan Maran Ka Bandhan Na Hoga..

Ankhon Mein Bhar Le Angarein Toh Suraj Bhi Garam Na Hoga.....

 

Kia Jwala Rokegi Usko... Jo Khud Mein Jwalamukhi Hoga..

Kia Lehre Rokegi Usko.... Jo Khud Mein Ek Sailaab Hoga.

Roke Tera Rasta Jo Chattan Bhi... Woh Bas Ek Padav Hoga...

Kia Dar Usko Khone Ka... Jo Sirf Pane Ki Chal Mein Hoga..

 

Jo Sheesh Uthega Jankalyan Mein... Woh Rahi Akela Na Hoga..

Do Kadam Bada Akele Tu, Jagjan Tere Sath Hoga...

Sunday, 29 April 2012

Palak..


So Jane Ke Baad Kaise Duniya Badal Jati Hain...
Bhagti Daudti Zindagi Kaise Shant Ho Jati Hain ..

Khuli Ankhon Mein Jo Milta Nhi Sakoon
Palak Band Karte Hi Ek Rahat Mil Jati Hain

Apne Aap Mein Yeh Sari Dunia Sama Jati Hain..
Na Kisi Se Ber Na Kisi Se Dosti Reh Jati Hain

Ek Taraf Aankhon Ke Aage Andhera Hota Hain ..
Doosri Taraf Ek Nai Dunia Roshan Ho Jati Hain..

So Jane Ke Baad Kaise Yeh Duniya Badal Jati Hain..

Friday, 20 April 2012

Kuch batein..


Kuch Purani Batein Hian ...
Kuch Yadon Bhari Ratein Hain..
Haseen Sapno Ki Katar Hain..
Bas Aab Tumhara Intezaar Hain..

Ruka Hua Sa Hain Yeh Sama.....
Veerana Bana Hain Ab Ghar Mera...
Pukarti Hain Naam Tera...
In Galio, Sadko Ki Hawa..

Raste Dekhte Hain Aise...
Jaise Kuch Woh Dhoondte Hain...
Akela Chalta Hoo Mein Rahon Mein ..
Tera Sath Woh Poochte Hain...

Paid Ki Chaw Bhi Sawal Karti Hain...
Tanha Hain Kyun Tu Itna Akhir..
Zindagi Teri Ab Kaha Rehti Hain...

Interzaar Hain Sabko Tere Aa Jane Ka...
Bhujhe Hain Jo Die Unhe Jalane Ka,,,
Roshini Se Fir Se Sama Banane Ka...
Adhura hain jo usko... poora karke jane ka...




Guzara hua waqt...

guzarein hue waqt ko meine bade sambhal ke rakha hain, kisi locker mein nahi, kisi tahkhane mein nhi... jo bhi hain bas, dil mein daba ke...