Monday, 15 September 2014

Kitna Badal Gaya hoo mein...


In Samajik Sukh Dukh Mein Ulhaj Gaya Ho Mein...
Insaan Ho Insaaniyat Se Juda Ho Gaya Hoo Mein...

Ache Bure Ka Antar Shamajhane Laga Hoo Mein...
Kuch Meethi Meethi Nadaniyon Se Bichad Gaya Hoo Mein...

Pyar Ka Dusra Naam Jarurat Shamaj Betha Hoo Mein...
Isse Wajah Se Apno Ko Kho Betha Hoo Mein...

Ek Zamana Tha Jab Mandiro Mein Sir Jhukane Jaya Karta Tha Mein...
Aaj Usse Bhagwan Se Saudebazi Mein Pad Gaya Hoo Mein...

Zindagi Ke Ek Shikhar Par Pahuch Gaya Hoo Mein..
Naye Zamane Mein Tez Raftaar Se Daud Raha Hoo Mein...
Kabhi Ungali Pakad Ke Chalna Sikhaya Tha Jinohe Ne Mujhe..
Aaj Unhi Se Dur Ho Gaya Hoo Mein...

Kaise Samjhau Khud Ko Ki Kitna Badal Gaya Hoo Mein..
Insaan Ho Insaniyaat Se Juda Ho Gaya Hoo Mein..

Guzara hua waqt...

guzarein hue waqt ko meine bade sambhal ke rakha hain, kisi locker mein nahi, kisi tahkhane mein nhi... jo bhi hain bas, dil mein daba ke...